Achchha lagta hai……
Rang-bhare phoolon ka,
Kaanton ke beech hi khil jaana……
Sukh-dukh ki lehron mein,
Doobna-utraana…….
Bachchon ki meethi-si baaton mein,
Apna bachpan paa jaana…….
Nit-naye sapnon mein,
Khuli aankhon se hi kho jaana……
Ek chidiya ka roz mere darwaaze pe,
Na jaane kyun dastak dena…….
Aur khidki par har din,
Do gilheriyon ka athkheliyaan karna…..
Doobte suraj ki laali mein hi,
Chaand ka khil jaana……
Aur phir mere kamre mein taak-jhaank kar,
Chaandni ka chhitak kar aa jaana…..
Saawan ki phuharon mein do indradhanush dekh,
Man ka pulkit ho jaana…….
Sardi ke ghane kohre mein kanpkanpaakar,
Daant kitkitaana…….
Thandi hawa mein haule-haule,
Koi geet gungunaana…….
Bebaat-si baaton par,
Yun hi khilkhilaana……
Aise hi chhote-chhote maasoom palon se,
Zindagi ke panne bharna…..
Achchha lagta hai 🙂
“Mani”
Leave a Reply