Shaheedon humein kshama karo……
Bharatmaata par tumne sarvasva lutaaya
Paani ki tarah apna lahu bahaaya
Zaalimon ne tumpar kya-kya sitam na dhaaya
Par tumhaari aankhon mein ek aansoo na aaya
Aaj hum hain bahut sharminda
Laga hai har taraf ghotaalon ka hi pulinda
Achchha sochne ko bhi aaj karna padta hai chanda
Yahan hoti hai aaj sachchon ki ninda!
Jab tumne balidaan kiye the-
Kya-kya sapne saja liye the
Tum apni kalpana ke mahaan Bharat ke liye jiye the-
Sab ore jahan manavta ke hi diye the
Aaj swarg mein sheesh tumhaara lajja ke maare utha na hoga
Aazaad Bharat mein aisa bhrashtachaar tumne kabhie socha na hoga
Nirbal par itna atyachaar ghulami mein bhi hua na hoga
Vyavastha ka aisa uphaas pehle kabhie uda na hoga
Tum mein se koi Hindu, Muslim, Sikh na tha
Tumhaare hriday mein balidaan ke siva kuchh raha na tha
Tumhaare samay mein Maata ka bantwaara hua na tha
Aisa swarajya tumne swapn mein bhi socha na tha
Aaj chaaron ore sampradaayikta ke shole bhadakte hain
Saare neta dharm ke tave par swaarth ki rotiyaan senkte hain
Insaaniyat ko sab apne paanv ki thokron mein phenkte hain
Aur kya kahun?-hum to tumse kshama maangne yogya bhi nahin rahe hain
Kintu phir bhi…….
“Shaheedon humein kshama karo!”
Mani (25th November 1990)
Leave a Reply