Bulbule-si ye zindagi….
Pal-pal kitne roop badalti-
Kabhie to saare rangon se chhalak uthati,
Kabhie sirf saleti-si reh jaati
Ek hi pal…phool mehek uthate,
Man gaa uthate, hanste-khelte, ithalaate
Dooje hi pal…muskaata chand pheeka-sa ho jaata
Raat ke ghane andhkaar mein na jaane kahan gum ho jaata
Kabhie shaant nadi-si behti jaati
Kabhie ek aandhi sab tehes-nehes kar jaati
Kabhie saare jawaab de…hairaan kar jaati
To kabhie khud hi ek sawaal ban jaati
Bulbule-si ye zindagi…..
Bas abhi thi aur abhi nahin
Kabhie aansoo kabhie hansi bankar-
Kathputli-sa sabko nachaati
Bulbule-si ye zindagi…….
Mani
Leave a Reply