Bachpan ki wo yaad suhaani….
Jab bhi kabhie mujhe aati hai
Man mein umangon ki nai kahaani,
Jaise wo likh jaati hai
Kabaddi ka wo khel anokha-
Kaisi khushi le aata tha
Koyal ka pratiyogi ban kookna-
Man ko kitna bhaata tha 🙂
“Mani beta ke liye jalebi laao!”
Jab Nanaji kehte the
Babaji paas baithaker-
Ramayan, Mahabharat sunte the!
Saawan ke wo geet anoothe-
Jhool-jhool hum gaate the
Chhoti-si ek roti banakar taareef sabse karvaate the!
Jab hum to bahut -hi achchhe the
Aur sab humse bhi achchhe the 🙂
Bachpan ki wo yaad suhaani-
Jab bhi kabhie mujhe aati hai
Roshni ke karono diye
Jaise jalaa wo jaati hai! 🙂
Mani
Leave a Reply