Shaken out of the blissful slumber again by the Mumbai blasts….
Zindagi mein kuchh achchha karne ke liye hi itna kam samay hai, logon ko itna bura karne aur sochne ka samay kahan se mil jaata hai…….Kaise raakshas hain jo nirdoshon ka khoon behta dekhkar khush hote hain????
Ik aag -si lagi hriday mein,
Use kis tarah bujhaaun mein?
Sansaar mein chhaaye is andhkaar mein,
Prakash karne ko upaay kya sujhaaun mein?
Anyay atyaachaar ki jwaala thandi karne ko-
Nirmalta, swachchhata ki boondein kahaan se laaun mein?
Dukhon ki is bheed mein mook darshak rehkar-
Apni aatma ko kya munh dikhlaaun mein?
Vedna ke is bheeshan cheetkaar ko,
Kewal kuchh shabd likhkar kaise mitaaun mein?
Har ore insaaniyat ka ghutataa galaa dekhkar,
Apna maanavdharm kis prakaar nibhaaun mein?
Apne bheetar ke insaan ko har pal hi jagaaun mein!
Is jag mein vyaapt anaachaar ke viruddh-
Kadachit kuchh to kar paaun mein!
Ishwareeya prerna ki aasha mein
Hriday mein ik jyot jalaaun mein
Apne kartavyapath par chalkar hi
Apna jeevan safal banaaun mein!
Us Parampita ke dikhlaaye maarg par
Dinodin badhti jaaun mein………………..
Mani
Leave a Reply