Dedicated to the sweet and naughty child living in everyone’s heart……Happy Children’s Day 🙂
Man mein ik nanha sa bachcha-
Kuchh na seekhta, kuchh bhi na padhta
Jab jee chahe daud lagaata,
Nahin maanta, nahin maanta!
Samajhdaari ka paath padhaya,
Badappan ne bhi daaman phailaya,
Jeevan-mrityu ne uljhaaya,
Par wo chanchal chhota-sa bachcha-
Nahin hai sunta, nahin hai sunta!
Aaina samay ka use dikhaya,
Dukh-sukh ne bhi jaal bichhaya,
Duniyadaari ka dar dikhlaya,
Aur nateeja sirf sifar hai!
Us par to naa koi asar hai!
Uske sapneele nainon mein-
Sunder sapnon ka ik ghar hai
Weh dheethh, nanha-sa bachcha
Ithlaata, bal khaata, machalta,
Sab sapne apne hi samajhta-
Nahin hai rukta, nahin hai jhukta!
Mani 🙂
beautiful poem.remembered our childhood with this poem
Namaste,
Thanks a lot Dr.Aupama…sorry for late reply…Happy New Year 🙂