Feeds:
Posts
Comments

Saraswati Vandana


Aayega Aanewala


Pushp ki Abhilasha




Shaheedon humein kshama karo……

             Bharatmaata par tumne sarvasva lutaaya

             Paani ki tarah apna lahu bahaaya

             Zaalimon ne tumpar kya-kya sitam na dhaaya

             Par tumhaari aankhon mein ek aansoo na aaya

Aaj hum hain bahut sharminda

Laga hai har taraf ghotaalon ka hi pulinda

Achchha sochne ko bhi aaj karna padta hai chanda

Yahan hoti hai aaj sachchon ki ninda!

              Jab tumne balidaan kiye the-

              Kya-kya sapne saja liye the

              Tum apni kalpana ke mahaan Bharat ke liye jiye the-

              Sab ore jahan manavta ke hi diye the

Aaj swarg mein sheesh tumhaara lajja ke maare utha na hoga

Aazaad Bharat mein aisa bhrashtachaar tumne kabhie socha na hoga

Nirbal par itna atyachaar ghulami mein bhi hua na hoga

Vyavastha ka aisa uphaas pehle kabhie uda na hoga

             Tum mein se koi Hindu, Muslim, Sikh na tha

             Tumhaare hriday mein balidaan ke siva kuchh raha na tha

             Tumhaare samay mein Maata ka bantwaara hua na tha

             Aisa swarajya tumne swapn mein bhi socha na tha

Aaj chaaron ore sampradaayikta ke shole bhadakte hain

Saare neta dharm ke tave par swaarth ki rotiyaan senkte hain

Insaaniyat ko sab apne paanv ki thokron mein phenkte hain

Aur kya kahun?-hum to tumse kshama maangne yogya bhi nahin rahe hain

Kintu phir bhi…….

                                  “Shaheedon humein kshama karo!”

                                                                                                 Mani (25th November 1990)


Sardi Ne Jabse…….


Sardi ne jabse pehni hai,

 Ghane kohre ki wardi,

 Sabhie mujrim se ban baithe –

 Munh par chhayee hai zardi

 Gharon ko bana diya hai jail,

 lagi hai tope-jacketon ki relampel,

 Bazaar mein niklo-

 Har jagah hai 50% sale

 Bachchon ko ye kyun lagti nahin jaane???

 Unhein to abhi hi jaana hai patang udaane!!!

 Aur mein baithi hun na yahin-

 Pitaji ki daant khaane!!!!

 Chhote ne to bilkul hi hai kiya gazab!

 “Mamma, munh se dhuan nikalo!” farmaish hai ye ajab

 Din-raat khush use karne mein-

 Pichka gubbara ban gayi hun ab! (Bachaao!!!)

 Mumbai, Goa ki photo koi na dikhaana,

 Mere jame hue dil par aur barf na barsaana,

 Tumhein Bhagwaan ka vaasta-

 Aisa sitam na dhaana!

 Nahin dekha kabhie aisa thaanedaar bedardi,

 “Haye re sardi!”  “Haye re sardi!”

 Sardi ne jabse pehni hai-

 Ghane kohre ki Wardi 🙂

                                                  “Mani”



Achchha lagta hai……

 Rang-bhare phoolon ka,

 Kaanton ke beech hi khil jaana……

 Sukh-dukh ki lehron mein,

 Doobna-utraana…….

 Bachchon ki meethi-si baaton mein,

 Apna bachpan paa jaana…….

 Nit-naye sapnon mein,

 Khuli aankhon se hi kho jaana……

 Ek chidiya ka roz mere darwaaze pe,

 Na jaane kyun dastak dena…….

 Aur khidki par har din,

 Do gilheriyon ka athkheliyaan karna…..

 Doobte suraj ki laali mein hi,

 Chaand ka khil jaana……

 Aur phir mere kamre mein taak-jhaank kar,

 Chaandni ka chhitak kar aa jaana…..

 Saawan ki phuharon mein do indradhanush dekh,

 Man ka pulkit ho jaana…….

 Sardi ke ghane kohre mein kanpkanpaakar,

 Daant kitkitaana…….

 Thandi hawa mein haule-haule,

 Koi geet gungunaana…….

 Bebaat-si baaton par,

 Yun hi khilkhilaana……

 Aise hi chhote-chhote maasoom palon se,

 Zindagi ke panne bharna…..

 Achchha lagta hai 🙂

                               “Mani”

Dil Hai Chhota Sa