Feeds:
Posts
Comments

Dedicated to the sweet and naughty child living in everyone’s heart……Happy Children’s Day 🙂

Man mein ik nanha sa bachcha-

Kuchh na seekhta, kuchh bhi na padhta

Jab jee chahe daud lagaata,

Nahin maanta, nahin maanta!

Samajhdaari ka paath padhaya,

Badappan ne bhi daaman phailaya,

Jeevan-mrityu ne uljhaaya,

Par wo chanchal chhota-sa bachcha-

Nahin hai sunta, nahin hai sunta!

Aaina samay ka use dikhaya,

Dukh-sukh ne bhi jaal bichhaya,

Duniyadaari ka dar dikhlaya,

Aur nateeja sirf sifar hai!

Us par to naa koi asar hai!

Uske sapneele nainon mein-

Sunder sapnon ka ik ghar hai

Weh dheethh, nanha-sa bachcha

Ithlaata, bal khaata, machalta,

Sab sapne apne hi samajhta-

Nahin hai rukta, nahin hai jhukta!

                                                                  Mani 🙂

Kaida Tod Ke………




आत्मा में प्रज्वलित सत्य का प्रकाश हो 

सब अंधेरों को पराजित कर,

जैसे एक सूर्य सा उगता हो 

हम सबके छोटे छोटे ये शक्तिपुंज 

संपूर्ण ब्रह्मांड की अनंत, सत्य,

सुनहरी ऊर्जा मिलकर

जैसे ईश्वरीय शक्ति बन जाती हो 

विद्वत्तापूर्ण बातें नहीं 

केवल शुद्धता से परिपूर्ण हृदय 

जैसे उज्ज्वल दर्पण हो

जिसमें उस अनंत का

प्रतिबिम्ब दिख जाता हो

Let the soul light up with
the burning fire of truth
Defeating all darkness,
As if the Sun rises
Energy in each of us
combined with the
infinite, true, golden energy
of the entire universe
As if becomes
a divine powerful energy
No scholarly talks
Only a heart full of purity
Like a shining mirror
In which the reflection
of that infinite is visible

                                     Mani



Komal se ehsaason ka ghar

Ye dil hai ya koi samander……

Aankhon ki ye sunder bhasha

Man se man ka kaisa naata………

Jeevan hai bas kisi ka hona

Nahin to bane yaadon ka bichhauna……

Ik-dooje se bin-bole baatein

Man mohti rimjhim barsaatein………

Geeton se wo sapne bunana

Zor se yun hi dil ka dhadakna………

Jaagi-si raatein, soye-se din

Kuchh bhaaye na jab humein tere bin……..

Ankahi baatein sunane lagta hai dil

Roshni aur roshan ho jati tumse mil………..

Phool jab zyaada pyaare lagte hain

Koi to bataye ise kya kehte hain……………………

                                                                                              Mani

Aap yun……



He Sharde Maa